Singer | Shaan & Shreya Ghoshal |
Genre | Love |
Language | Hindi |
Album | Luv U Soniyo |
palkon pe phool khile
aise yeh soya hai
neendon ke gamle mein koi khwab jaise boya hai
jaadu ki chhadi leke
koi apsara aayegi
chutki mein bikhri cheezein theek kar ke jaayegi
inka har kaam hi
kal pe hai tal raha
sooraj kabse inke gaalon pe dhoop mal raha
valentines day aaya
life mein rang laaya
par inke calender mein october hi chal raha
kaisa ye khel hai
rishton ka mel hai
khushiyaan dhoondhe yahan wahan
kaisi paheli hai ye
mast albeli hai ye
uljhe kuchh suljhe hain yahan
dil hirni sa kuchh idhar
chaukanna sa rehta hai
suljha hua sa koi raao
bujhta rehta hai
inko hi deke din bhi
roshan hota hai
jo bhi inko dekhe woh sapne
laakh sanjota hai
inke chhoone se cheezein
sanvarti jaati hain
kudrat inki ghadi ko theek karke jaati hai
roop se dhoop chale
zulfon mein shaam dhale
suraj deewana banke inki hi chaal chale
kitna bemel hai
phir kaisa mel hai
khushiyaan dhoondhe yahan wahan
kaisi paheli hai yeh
mast albeli hai ye
uljhe kuchh suljhe hain yahan haan..
kaisa ye khel hai
rishton ka mel hai
khushiyaan dhoondhe yahan wahan
kaisi paheli hai yeh
mast albeli hai yeh
uljhe kuchh suljhe hain yahan