Singer | Sonu Nigam |
Genre | Love |
Language | Hindi |
Album | Tanu Weds Manu: Returns |
o sathi mere hathon mein tere
hathon ki ab girha di aise ke toote yeh kabhi na
o sathi mere hathon mein tere
hathon ki ab girha di aise ke toote yeh kabhi na
chal na kahin sapnon ke gaanv re
choote na phir bhi dharti se paanv re
aag aur paani se phir likh dein woh vaade saare
sath hi mein royein hansein, sang dhoop chhaanv re
aag aur paani se phir likh de woh vaade saare
sath hi mein royein hansein, sang dhoop chhaanv re
o sathi mere hathon mein tere
hathon ki ab girha di aise ke toote yeh kabhi na
hum jo bikhrein kabhi, tumse jo hum udhadein kahin
goondh lena phir se har dhaga
hum to adhoore yahan, tum bhi magar poore kahan
kar lein adhoorepan ko hum aadha
jo abhi hamara ho, meetha ho ya khaara ho
aao na kar lein hum sab saajha
o sathi mere hathon mein tere
hathon ki ab girha di aise ke toote yeh kabhi na
gehre andhere ya ujle savere hon
yeh saare to hain tumse hi
aankh mein teri-meri utare ik sath hi
din ho patjhad ke raatein ya phoolon ke
kitna bhi hum roothein par baat karein sathi
mausam mausam yoon hi sath chalenge hum
lambi in raahon mein ya phoonk ke aahon se
rakhenge paanv pe tere marham
aao milein hum is tarah aaye na kabhi virha
humse main na ho riha
humdum tumhi ho, hardum tumhi ho ab hai yehi dua
sathi re umra ke salwat bhi sath tahenge hum
god mein leke sar se chaand chhuyenge hum
marein na marein sathi par sathi jiyenge hum