Singer | Raftaar |
Genre | Party |
Language | Hindi |
Album | Manto |
raftaar!
sawaal ye hai ke jo cheez jaisi hai
use waise hi pesh kyon na kiya jaye
main to apni kahaaniyon ko ek aaina samajhta hu
jisme samaaj apne aap ko dekh sake, dekh sake..
aaina na dekhna chahe samaaj mera
pooche mera kal na dekhte ye aaj mera
khodte kharodte ye meri galtiyan
main bhi chal diya
meri soch pe hai raj mera
kaan band, aakhein band
inke muh pe taale
inpe zor na ke satya pe prakash daale
bole sach jo uske chehre pe tezaab daale
ghoome phir khule mein
aur jale to wo nakaab daale
off hai, dimaag sabka off hai
zamana kya kahega iska hi to sabko khauf hai
dabke jeete hain, dabaane ke ye aadi hain
s*x nishedh hai to itni kyon aabaadi hai
log ye hain aatma se khokhle
khud kare to theek, baaqi galat dogle
gaali de to hindi mein
to bolein aisa kyon kiya
f*ck kyon hai cool jane galat kyon hai chu*iya
kya is tarah ke alfaz hamein sadkon pe sunai nahi padte
manto ek insan hai
man, manto ek insan hai
manto ek insan hai
manto ek insan hai
mujh par ilzam hai
mujh par, mujh par
mujh par ilzam hai
mujh par ilzam hai
manto ek insan hai
jaat mein ye baant’te hain
baant ke ye kaat’te hain
katne wale khaat pe hain
inki mauj raat mein hai
lal batti waali gaadi
glass inke hath mein hai
rajneeti mein hain chor
police inke saath mein
meri baat tumko sach nai lagti
sachchi baat tumko yaara pach nai sakti
mujhse nasamajh hain dugne meri age ke
ek pair kabra mein ye bhookhe hain dahej ke
betiyon ko maarte, betiyan na paalte
betiyon pe dusron ki nazrein gandi daalte
ladkiyan pata ke unko bandi bolte hain aur
aur jo razi na ho unko saale ran*i bolte hain
babaron se, maa pe thos hath jo uthayega
bezuban bolne se pehle seekh jayega
mard tab banega jab tu aurtein dabayega
soch ye rahi to jaldi desh doob jayega
main society ki choli kya utarunga?
jo pehle se hi nangi hai
usse kapde pehnana mera kaam nahi hai
main kaali takhti par safed chalk istemaal karta hu
taaki kaali takhti aur numaya ho jaaye
manto ek insan
main ghanton padha hai tumko manto
tumhare jaisa banun kare mera mann to
in bandon ko sach nai dikhta
70 saal azadi ke sach aaj bhi nai bikta
agar aap meri kahani ko bardaasht nahi kar sakte
to iska matlab ye hai ki
ye zamana hi na-kabil-e-bardaasht hai