Singer | Shabbir Kumar, Laxmikant Kudalkar & Anuradha Paudwal |
Genre | Drama |
Language | Hindi |
Album | Asli Naqli |
duniya bhar ko dhokha dekar
koi nahi bach payega
duniya bhar ko dhokha dekar
koi nahi bach payega
kaun hai asli kaun hai nakli
ha kaun hai asli kaun hai nakli
ye to ho ye to
ye to waqt batayega
are koi kitne chehre badle
pahchana to jayega
koi kitne chehre badle
pahchana to jayega
kaun hai asli kaun hai nakli
kaun hai asli re asli kaun hai asli
ye to o ye to
o ye to waqt batayega
duniya bhar ko dhokha dekar
koi nahi bach payega
duniya bhar ko dhokha dekar
tarasho chahe jitni baar
ek patthar ke tukde ko
chamak heere ki, chamak heere ki
us tukde me hargij aa nahi sakti
sabhi ganga me dubki maarke paawan nahi bante
siyahi koyle ki, siyahi koyle ki
lakh dho lo ja nahi sakti
jo jaisa hai ik din sabko apna rang dikhayega
jo jaisa hai ik din sabko apna rang dikhayega
kaun hai asli kaun hai nakli
kaun hai asli re asli kaun hai asli
ye to o ye to
o ye to waqt batayega
duniya bhar ko dhokha dekar
koi nahi bach payega
duniya bhar ko dhokha dekar
najar wale to bas pahli najar me
aadmi ko bhap lete hai
nigahe kya mili, nigahe kya mili
ke tol lete naap lete hai
koi kitna bhi badle khud ko uska chhal nahi jata
ke rassi jal to, ke rassi jal to
jati hai par uska bal nahi jata
kouaa hans hi chaal chale to hans nahi kahlayega
kouaa hans hi chaal chale to hans nahi kahlayega
kaun hai asli kaun hai nakli
ha kaun hai asli kaun hai nakli
ye to ho ye to
ye to waqt batayega
duniya bhar ko dhokha dekar
koi nahi bach payega
duniya bhar ko dhokha dekar
zamane bharke aake apna apna raaz mat kholo
akalmandi isi me hai na ye bole na tum bolo
na ye bole na tum bolo
chupchap raho khamosh raho
chupchap raho khamosh raho
apno ko kabhi ilzaam na do
aapas ke in jhagdo se
gharbaar bigadta jayega
aapas ke in jhagdo se
gharbaar bigadta jayega
kaun hai asli kaun hai nakli
kaun hai asli kaun hai nakli
ye to ha ye to
o ye to waqt batayega
duniya bhar ko dhokha dekar
koi nahi bach payega
duniya bhar ko dhokha dekar
koi nahi bach payega
kaun hai asli ae kaun hai asli
ae kaun hai asli ae kaun hai asli
ye to o ye to
o ye to waqt batayega
duniya bhar ko dhokha dekar
koi nahi bach payega
duniya bhar ko dhokha dekar