Singer | Lata Mangeshkar, Shabbir Kumar & Anuradha Paudwal |
Genre | Emotional |
Language | Hindi |
Album | Pyar Jhukta Nahin |
hazaaron aandhiyaan aayein
hazaaron bijliyaan chamkein
kabhi saathi ko tanha
raah mein choda nahi karte
tumhein apna saathi banane se pehle
meri jaan mujh ko bahut sochna hain
meri jaan mujh ko bahut sochna hain
tumhein apna saathi banane se pehle
meri jaan mujh ko bahut sochna hain
meri jaan mujh ko bahut sochna hain
mohabbat ki duniya basane se pehli
meri jaan mujh ko bahut sochna hain
tumhein apna saathi banane se pehle
meri jaan mujh ko bahut sochna hain
meri jaan mujh ko bahut sochna hain
kahan se main launga resham ki sari
yeh bangla yeh motor nahin le sakunga…
mera dil hi bas ek meri milkiyat hai
jo chaho tau bas main yehi de sakunga
magar dil ki dhadkhan sunane se pehle
meri jaan mujh ko bahut sochna hain
tumhein apna saathi banane se pehle
meri jaan mujh ko bahut sochna hain
meri jaan mujh ko bahut sochna hain
yeh rangeen yaara hath-e-zindagi ki
yeh rangeen yaara hath-e-zindagi ki
bahut kuch tumhein has ke khona padega
kabhi meri gurbat ne ansoo diye tau
tumhein bhi mere saath rona padega
magar saath tum ko dilane se pehle
meri jaan mujh ko bahut sochna hain
tumhein apna saathi banane se pehle
meri jaan mujh ko bahut sochna hain
meri jaan mujh ko bahut sochna hain
main darrta hoon us din ki rusvaiyon se
main darrta hoon us din ki rusvaiyon se
kahin pyar par apne duniya hase na
mohabbat ka ho naam badnaam hum se
zamaana kahin hum pe taane kase na
sitaaron ki mehfil sajane se pehle
meri jaan mujh ko bahut sochna hain
tumhein apna saathi banane se pehle
meri jaan mujh ko bahut sochna hain
meri jaan mujh ko bahut sochna hain
mohabbat jinhein ho gyi ho kisi se
mohabbat jinhein ho gyi ho kisi se
mohabbat ka anjaam kab sochte hain
ye aisa suhana safar hai ki jisme
hazaron hai nakaam kab sochte hain
chiraag-e-wafa apne haathon mein lekar
mohabbat ki raahon mein jo chal pade hain
bayaanbaan mein hogi ki sehra mein hogi
kahaan hogi ab shaam kab sochte hain
kahaan hogi ab shaam kab sochte hain
mohabbat ke maaron ko ab aur ae dil
satayengi kya shakatiyan zindgi ki
jinhein thak kar neend aa gyi patharon par
wo duniya ka aaram kab sochte hain
ye insaan kya hai khuda ke bhi aage
kabhi pyar duniya mein jhukta nahin hain
pyar jhukta nahin hain
mohabbat hi jinko khuda ban chuki ho
kisi aur ka naam kab sochte hain
mohabbat jinhein ho gyi ho kisi se
mohabbat ka anjaam kab sochte hain
mohabbat ka anjaam kab sochte hain.