Singer | Wajid |
Language | Bollywood |
Noor-e-khuda karam ki nazar ho
Maula meri duaa mein asar ho
Yeh mo.ajiza dikhaye Khudaya
Mere tadap ki unko khabar ho
(mo.ajiza: miracle)
Haal-e-dil ya Nabi…
Haal-e-dil ya Nabi aapke saamne
Sar jhuka kar kahenge hum
Tajdar-e-haram
Tajdar-e-haram
Ho nigahein karam ho karam
(Tajdar-e-haram means “king of the holy place”)
Tajdar-e-haram
Tajdar-e-haram
Ho nigahein karam
Hum gareebon ke dil bhi
Sawar jaayenge…
Haami-ye be-kasaan kya kahega jahaan
Aap ke dar se khaali agar jaayenge…
Tajdar-e-haram
Tajdar-e-haram
(Noor-e-dil hai sukoon)
Sun lo araj Nabi ji Khudara
Koi nahi jahaan mein humara
Khamoshiyon ki sun lo sadayein
Dil ne mere hai tumko pukaara
Aapne ne bhi agar na humari suni
Le batao kahaan jaayein hum
Tajdar-e-haram
Tajdar-e-haram
Ho nigahein karam ho karam
Tajdar-e-haram
O Tajdar-e-haram
Ab toh chehre se parda hata dijiye
Dard-e-dil ki dawaa kijiye
Aapke haath mein hai meri zindagi
Ab mita dijiye ya bana dijiye
Usko kaise satayenge duniya ke gham
Aap jaisa mila ho jise mohtaram
Meri sun lo sada ae mere Mustafa
Hone se pehle ab aankh numm
Tajdar-e-haram
Ho Tajdar-e-haram
Ho nigaahein karam ho karam
Tajdar-e-haram
Written by:
Danish Sabri and Traditional
Music Video Of: Tajdar-e-Haram