suno suno amar kahani

suno suno amar kahani lyrics

Poster suno suno amar kahani

suno suno amar kahani

lyrics/Album : Dharm Adhikari
Details
Singer Asha Bhosle
Genre Drama
Language Hindi
Album Dharm Adhikari
Poster suno suno amar kahani
play
Lyrics

suno suno suno meri jubani,

suno suno suno amar kahani

aate hain ji jate hain

aate hain ji jate hain ji,

kaun aate hain

iss dharati par kabhi kabhi

aise log bhi aate hain

rehti duniya tak

jo aana naam amar kar jate hain

suno suno suno meri jubani,

suno suno suno amar kahani


attharah sau sattavan

kaa zamana yaad karo

british jalimo kaa

zamana yad karo

firangi ne aate jate

hamla kiya aisa

khun hamara hokar

pani bah sakta hai kaise

hame kayar samajhakar

fauj unaki iss tarah tuti

kunvari kya suhagan

kya sabhi ki aabru luti


ek vir dharmaraj talvar ley ke aaya

woh bharat man kaa

beta ma ka baju thamane aaya

kuda woh maidan mein

lekar nyay ki talvar

dher ho gayi ret

jaise dushman ki diwar

toh kya videshi

dum dabakar bhag gaye

bhage nahi har gaye

hare huye sipahi par

gora afasar baras pada

aur kaha samane se nahi

toh pith mein chhuri maron

jit ki kushi mein soye huye insan par

firangi sipahio ne hamala kar diya


firangio ne pichhe se

unako ise tarah pakda

bade dhokhe se aakar

sher ko janjiro me jakada

ghana woh ped jo deta

tha sare ganv ko chhaya

usi peh phansi dene

ko dharmaraj ko latakaya

shahid toh marke bhi

jite rahate hain

isi liye toh amar

unako log kehte hain

kate huye iss ped ko

dekho gadi hai jo talvar

abb tak isme baki hai

aajadi ki jhankar.

You May Also Like (Similar)

Advertisement
Note: From this website you will get free lyrics facility. The files are not hosted by us.
Rules: videos/lyrics will be for personal use only / you cannot redistribute them / delete them from hard disk after 24 hours (if you do not agree, close this window)