mubarak mubarak lyrics – udit narayan | haan maine bhi pyar kiya

mubarak mubarak lyrics – udit narayan | haan maine bhi pyar kiya lyrics

Poster mubarak mubarak lyrics – udit narayan | haan maine bhi pyar kiya

mubarak mubarak lyrics – udit narayan | haan maine bhi pyar kiya

Details
Language Bhojpuri
Poster mubarak mubarak lyrics – udit narayan | haan maine bhi pyar kiya
play
Lyrics


tere mathe ki bindiya chamakti rahe
tere hathon ki mehndhi mehakti rahe
tere jode ki raunak salamat rahe
teri chudi hamesha khanakti rahe
mubarak mubarak mubarak mubarak
mubarak mubarak mubarak mubarak….

mubarak ho tumko ye shaadi tumhari
mubarak ho tumko ye shaadi tumhari
sada khush raho tum dua hai hamari
tumhare kadam chume ye duniya sari
tumhare kadam chume ye duniya sari
sada khush raho tum dua hai hamari
mubarak ho tumko ye shaadi tumhari
sada khush raho tum dua hai hamari….

tumhare liye hain baharon ke mausam
na aaye kabhi zindagi mein koi gam
hamara hai kya yaar hum hai deewane
hamari tadap to koi bhi na jane
mile na tumhe ishq mein bekarari
mile na tumhe ishq mein bekarari
sada khush raho tum dua hai hamari
mubarak ho tumko ye shaadi tumhari
sada khush raho tum dua hai hamari….

ke janmon ke rishte nahi tode jate
safar mein nahi humsafar chhode jate
na rasmo riwaajo ko tum bhool jana
jo li hai kasam to isse nibhana
ki humne to tanha umar hai guzari
ki humne to tanha umar hai guzari
sada khush raho tum dua hai hamari
tumhare kadam chume ye duniya sari
tumhare kadam chume ye duniya sari
sada khush raho tum dua hai hamari
mubarak ho tumko ye shaadi tumhari
sada khush raho tum dua hai hamari….

jaan maine bhi pyaar kiya hai
haan maine bhi pyaar kiya hai
haan maine bhi pyaar kiya hai
haan maine bhi pyaar kiya hai
mubarak mubarak mubarak mubarak….

You May Also Like (Similar)

Advertisement
Note: From this website you will get free lyrics facility. The files are not hosted by us.
Rules: videos/lyrics will be for personal use only / you cannot redistribute them / delete them from hard disk after 24 hours (if you do not agree, close this window)