Singer | K.k |
Genre | Emotional |
Language | Hindi |
Album | Yaariyan |
jab chot kabhi mere lag jaati thi
toh aankh teri bhi to bhar aati thi
maa.. o maa..
jab chot kabhi mere lag jaati thi
toh aankh teri bhi to bhar aati thi
ek chhoti si phoonk se teri
sabhi dard mere hote the gum
aaj bhi koi chot lage to
yaad aati ho, yaad aati ho tum
aaj bhi meri aankh bhare to
yaad aati ho, yaad aati ho tum
maa.. meri maa.. meri maa..
o maa.. meri maa
meri maa.. maa..
teri baaton mein
apni har ik main
uljhan ka hall pa leta tha
tere hathon ki
roti aksar hi
bhookh se zyada kha leta tha (repeat once)
tera hissa main
tera qissa main
jo sabko sunaati ho tum
aaj bhi meri
baat chale to
yaad aati ho
yaad aati ho tum
aaj bhi meri
aankh bhare toh
yaad aati ho yaad aati ho tum..
maa.. meri maa.. meri maa..
o maa.. meri maa
meri maa.. maa..
kone ko thaame
tere aanchal ke
be fikra main so jaata tha
mere dil mein kya
hai tere bina maa
koi samjha hi na pata tha
jo ho sang tu na
toh ho jag suna
pyaar itna jataati ho tum
aaj bhi koi
lage toh
yaad aati ho yaad aati ho tum
aaj bhi meri
aankh bhare to
yaad aati ho yaad aati ho tum
o meri maa.. meri maa..
meri maa, meri maa..
meri maa..