Singer | Amit Kilam |
Language | Hindi |
Album | Masaan |
paat na paaya meetha paani
paat na paaya meetha paani
ore-chhor ki doori re
mann kasturi re, jag dasturi re
.
mann kasturi re, jag dasturi re
baat huyi na poori re
mann kasturi re, jag dasturi re
baat huyi na poori re
.
khoje apni gandh na paave
chaadar ka paiband na paave
khoje apni gandh na paave
chaadar ka paiband na paave
bikhre bikhre chhand sa tehle
do hovein yeh bandh na paavein
.
naache hoke phirki lattu
naache hoke phirki lattu
khoje apni roodi re
mann kasturi re, jag dasturi re
.
mann kasturi re, jag dasturi re
baat huyi na poori re
mann kasturi re, jag dasturi re
baat huyi na poori re
.
umar ki ginti hath na aayi
purkhon ne yeh baat bataai
ulta karke dekh sake to
ambar bhi hai gehri khaayi
rekhaon ke paar nazar ko
jisne phenka andhe mann se
satrangi bazaar ka khola
darwaza bin zor jatan ke hey
.
phir to jhooma paagul hoke
phir to jhooma paagul hoke
sar pe daal fitoori re
mann kasturi re, jag dasturi re
baat huyi na poori re
mann kasturi re, jag dasturi re
baat huyi na poori re
mann kasturi re, jag dasturi re
baat huyi na poori re
.
mann kasturi re, jag dasturi re
baat huyi na, baat huyi na
baat huyi na poori re
mann kasturi re, jag dasturi re
play the music quiz
on melody facts