Singer | Vishal Dadlani |
Genre | Sad |
Language | Hindi |
Album | Mulk |
mujhe bakhsh de, mujhe bakhsh de
ya mere gafoor-ur-raheem
main reza reza bikhar raha hoon
sambhaal mujhe
andhera mukhmein utar raha hai
ujaal mujhe x (2)
main khud se bichhad gaya hoon
jaise aag se dhuaan
na zameen na aasmaan
yeh main aa gaya kahan
mujhe mera pata de khudara
koyi rasta bata de khudara x (2)
aaya kahan se itna zehar lahu mein
ganga ka paani behta tha mere vazu mein
jo dikhta hai woh mera wajood nahi
aaj main apne aap mein kyun maujood nahi
woh nahi tha jab haamara
to uska gham hai kyun
dil jal raha hai lekin
yeh aankh namm hai kyun
mujhe mera pata de khudara
koyi rasta bata de khudara x (2)
lele meri saansein mujhko mar jaane de
jaane kab se beghar hua main ghar aane de
kaabe tak tujhe main sochun tera khayal karun
saamne aa main tujhse ek sawal karun
main galat hoon ya ke duniya
ya kahin galat hai tu
mujhe de jawab maula
main hoon tere ru-ba-ru
mujhe mera pata de khudara
koyi rasta bata de khudara x (2)