Singer | Mahalakshmi Iyer |
Genre | Love |
Language | Hindi |
Album | 1920: The Evil Returns |
tum bhi tanha the
hum bhi tanha the
milke rone lage
o..tum bhi tanha the
hum bhi tanha the
milke rone lage
ek jaise the dono ke gum
dagaa hone lage
tujhme muskurate hain
tujhme gungunaate hain
khud ko tere paas hi
chhod aate hain
tere hi khyalon mein
doobe doobe jaate hain
khud ko tere paas hi
chhod aate hain
thode bhare hain hum
thode se khaali hain
tum bhi ho uljhe se
hum bhi sawaali hain
kuch tum bhi kore ho
kuch hum bhi saare hain
ek aasmaan par hum
do chand aadhe hain
kam hai zameen bhi thodi
kam asmaan hai
lagta adhoora
tum bin har jahaan hai
apni har kami.. mein hum
ab tujhe hi paate hain
khud ko tere pass hi
chhod aate hain
jitni bhi viraani hai
tujhse hi sajate hain
khud ko tere paas hi
chhod aate hain
do raaz milte hain
hum raaz bante hain
sannate aise hi..
awaaz bante hain
khamoshi mein teri
meri sadaayen hain
meri hatheli mein
teri duayein hain
ek saath tera ho toh
sau manzile ho..
tanhai teri
meri mehfile hon
hum teri nigahon se
khud mein jhilmilate hain
khud ko tere paas hi
chhod aate hain
tujhse apni raaton ko
subah hum banate hain
khud ko tere paas hi
chhod aate hain