Language | Hindi |
kabhi yuhi jab huyi bojhal saanse
bhar aayi baithe baithe jab yuhi aankhe
kabhi yuhi jab huyi bojhal saanse
bhar aayi baithe baithe jab yuhi aankhe
tabhi machala ke payaar se chal ke
chhuye koi mujhe par nazar na aaye
nazar na aaye
kahin door jab din dhal jaye
saanjh ki dulhan badan churaye
chupake se aaye
kahin to ye dil kabhi mil nahi paate
kahin se nikal aaye janmo ke naate
kahin to ye dil kabhi mil nahi paate
kahin se nikal aaye janmo ke naate
hai mithi ulajhan vairi apana man
apana hi hoke sahe dard paraye
dard paraye
kahin door jab din dhal jaye
saanjh ki dulhan badan churaye
chupake se aaye
mere khayalo ke aangan mein
koi sapno ke deep jalaye
deep jalaye
kahin door jab din dhal jaye
saanjh ki dulhan badan churaye
chupke se aaye