ik rupaya

ik rupaya lyrics

Details
Singer Labh Janjua, Keerthi Sagathia & Rahul Vaidya
Language Hindi
Album Krazzy 4
Poster ik rupaya
play
Lyrics

suniye…zara suniye… ik rupiya hoga

aap hamari madad karen to achchha hoga


suniye..ik rupiya hoga


(main hoon ek bank manager

meri baat suno tum mister) …. 2

ik rupiya ya ek laakh ya ek karod

bank se le lo loan tum ab do chinta chhod


achchha sujhav hai.. chhod di chinta ab kya karen?


pehle bhejo aaplication…

jiss mein loan ka ho intention

saath mein bhejo tum guarantee

jo bhi tumhari ho property

usske ssare paper hamko dena

loan agar hai lena


yeh kya baat huo bhai

arre aapke sar mein bheja hai ya bone…


phone ki khatir leta hai koi loan

lekin loan ki khatir sab karte hain phone

humko phone ki khatir to pehle mil jata loan

kaun se phone ka lone?

loan ke jiss se karenge phone

no no pehle phone aur phir loan

nahin nahin pehle loan varna kaise karenge phone

loan… phone… phone… loan…

suniye


suniye…zara suniye… ik rupiya hoga

aap hamari madad karen to achchha hoga


suniye…suniye shriman.. ik rupiya hoga?



budhhu mujhse tum ik rupiya maang rahe ho

main hoon kya aur mujhse tum kya maang rahe ho

ohhhh…


wah.. kya gala hai..

kya yeh doctor ek singer se mila hai?


main ek professor hoon.. ek philosopher hoon

rupiya kya main dega tumko laakhon ka gyan ..suno


with globalization and liberalization

international economy is changing

recession is increasing and there is inflation

and constant fluctuation…


tumse ek rupiya kya maanga

tumne to lecture de daala

tumne zara bhi dhyaan diya

maine free mein tumko kitna gyan diya

varna socho jiss ke paas ek rupiya na ho

wo chache ho jeeta marta

uss se koi baah bhi karta?


(suniye…zara suniye… ik rupiya hoga

aap hamari madad karen to achchha hoga) …. 2


dus rupiye ka sawaal hai baba

dus rupiye ka sawaal hai

tere shares ka bhaav chadhe

teri income bahut badhe


oh dus rupiye wale baba

oh dus rupiye wala baba

tum poora pahad hilate ho

humse kankar bhi nahin hilta

tum dus rupiye le lete ho

hamen ikk rupiya bhi nahin milta


hooo..


tum ullu ho… iss duniya ko pehle samjho

yahan badi cheez ki izzat hai

mango to bhekh badi mango.. waah


main izzatdaar bhikari hoon

ik rupiya agar main maangunga

to meri jo position hai sab mitti mein mil jayegi


bheekh ki seekh yahi hai bachcha

ik rupiya jo maangoge

duniya thenga dikhlaayegi


give me money… give me some money

give me money… give me some now


bhalsahab zara suniye

aare memsaab zara suniye

babusaab zara suniye

thehri.. thehro..thehro

ab maine yeh jana hai

ab maine ye mana hai

jissko hum kehte hain rupiya

duniya ki khatir hai wo kya

chaand se sooraj se bhi zyada gol hai rupiya

pyaar mohabbat se zyada anmol hai rupiya

duniya ke maathe pe rupiya ik teeka hai

rupiya agar nahin to yeh jeevan pheeka hai

paisa paisa paisa paisa paisa paisa paisa paisa


yahi agar duniya hai to tum sun lo yaaron

main to kehta hoon duniya ko thokar maaro

You May Also Like (Similar)

Advertisement
Note: From this website you will get free lyrics facility. The files are not hosted by us.
Rules: videos/lyrics will be for personal use only / you cannot redistribute them / delete them from hard disk after 24 hours (if you do not agree, close this window)