hamne dekhi duniya

hamne dekhi duniya lyrics

Poster hamne dekhi duniya

hamne dekhi duniya

lyrics/Album : Bhola In Bollywood
Details
Singer Sonu Nigam
Genre Patriotic
Language Hindi
Album Bhola In Bollywood
Poster hamne dekhi duniya
play
Lyrics

hamne dekhi duniya dekha sara zamana

hamne dekhi duniya dekha sara zamana

jo hai hamne dekha tumko bhi hai sunana

jo hai hamne dekha tumko bhi hai sunana

do cheezo ne bana ke rakha duniya ko deewana

hindustani khana hindustani gana

hindustani khana hindustani gana


yug yug ki parampara hai jo chalti aj tak aye

yug yug ki parampara hai jo chalti aj tak aye

apne ghar se bhukha koi na jane paye

sabri ke ber the juthe par sradha ki wo sachi

sabri ke ber the juthe par sradha ki wo sachi

sudama ki bhi niyat girdhar ko lagi thi achi

bhikshuk ki hoti pariksha bhala aisa kahi hai hota

phadosi jo ho bhukha dil apna bhi hai rota

ye pet se dil ka rasta ye jane har bhayata

na khale jab tak swami nahi khana muh mein jata

diwali ki mithaiya idd ki mithi sewayiya

pardesh mein desh ke khane kam kar dete hai duriya

bachpan ki yade purani hum sab ki ek kahani

wo maa ke hath ka khana jo laye muh mein pani

wo dadi maa ki sigdi sardi mein pake jo rabdi

or nani maa ka khilana wo asli ghee mein khichdi

wo khet mein pina lassi lassi pe malayi moti

sarso ke sag se khana makke di sondhi roti

ye hai ibadat ye hai pooja isko adab se khana

hindustani khana hindustani gana

hindustani khana hindustani gana


lori sunake maa ne ghutti mein swar utara

lori sunake maa ne ghutti mein swar utara

sangeet ki sangat mein jeevan hai hamne gujara

koi khusi ho ya gum sangeet hamesha hardam

koi khusi ho ya gum sangeet hamesha hardam

garba hai kahi to kahi chham chham bharatnatyam

dulhan ki uthe jab doli ya brij bhumi ki holi

chan chan chanke ghunghru or dhol bajaye dholi

jeevan ke har ek raas mein sangeet ne rang hai dala

vardan mila ye hamko murli sune jab radha

hai krishan ki kisme lila meera ki kisme krida

ye bole saki boli hai gor ki isme kavita

galib ki isme gajle wo sant kabir ke dohe

or heer ki sun ke bolo bhala koi kyu na roye

wo khusharo ki kawalli wo sur wo taal wo tali

tansen ne jalaya pani badi mithi hai gurbani

ajmer ki jaa wo dargah ya sirdi ke sai baba

surtal bahe sab ganga geeto mein geet ranga

sare jaha ne ab ye mana india ka hai jamana

hindustani khana hindustani gana

hindustani khana hindustani gana

hindustani khana hindustani gana

hindustani khana hindustani gana


hindustani khana hindustani gana

hindustani khana hindustani gana.


You May Also Like (Similar)

Advertisement
Note: From this website you will get free lyrics facility. The files are not hosted by us.
Rules: videos/lyrics will be for personal use only / you cannot redistribute them / delete them from hard disk after 24 hours (if you do not agree, close this window)