Singer | Prakriti Kakar |
Language | Hindi |
Album | Noor |
kabhi kabhi lage yehi,
jo hona tha hua wohi,
badalna bhi hawa ka,
hai zaroori,
kabhi kabhi lage yehi,
jo milna tha mila wohi,
bikharna bhi duaon ka,
hai zaroori,
kisi ke waaste kahan,
zameen pe aaya aasman,
yeh dooriyan rahin bas,
dooriyan,
ke chori chori chupke se chupke se rona,
hai zaroori,
ke paani paani akhiyon ka akhiyon ka hona,
hai zaroori,
reh gayi arzoo ik adhoori,
ke kabhi kabhi aisa bhi aisa bhi hona,
hai zaroori,
nasamajh the hum,
jo yeh bhi na samjhe,
waqt aane par,
sab badalte hain,
manzilein kya hain,
aur raaste kya hain,
log pal bhar mein,
yahan rab badalte hain,
kisi ke waaste kahan,
kinaare aayein kashtiyan,
yeh dooriyan rahin bas,
dooriyan,
ke chori chori chupke se chupke se rona,
hai zaroori,
ke paani paani akhiyon ka akhiyon ka hona,
hai zaroori,
reh gayi arzoo ik adhoori,
ke kabhi kabhi aisa bhi aisa bhi hona,
hai zaroori,
muskurane ke,
kitne bahane the,
phir bhi ankhon ne,
kyun nami chun li,
dil ki baatein toh,
sab aasman mein thi,
hum hi pagal the,
iss dil ki jo sun li,
kisi ke waaste kahan,
mili hai raat se subah,
ke dooriyan rahin bas,
dooriyan,
ke chori chori chupke se chupke se rona,
hai zaroori,
ke paani paani akhiyon ka akhiyon ka hona,
hai zaroori,
reh gayi arzoo ik adhoori,
ke kabhi kabhi aisa bhi aisa bhi hona,
hai zaroori,