ek machhar

ek machhar lyrics

Details
Singer Nana Patekar
Genre Motivational
Language Hindi
Album Yeshwant
Poster ek machhar
play
Lyrics

 

ek machhar,

ek machhar sala aadami ko

hizda bana deta hai

ek khatmal puri rat ko apahij kar deta hai

ek machhar sala aadami ko

hizda bana deta hai

mat aao mere pas rahne do mujhe akela

ladne do mujhe apni ladayi

kabhi na kabhi to jhut ka

gala ghotegi sachayi,

lekin sala ek machhar aadami ko

hizda bana deta hai

subha ghar se niklo

bhid ka ek hisa bano

sham ko ghar jao,

daru pio, bache paida karo

aur subha talak phir ek bar mar jao

kyoki aatma aur andar ka

insan mar chuka hai

jine ke ghinone

samjhote kar chuka hai

sala ek machhar aadami ko

hizda bana deta hai


uchi dukan fika pakwan

khaddar ki langoti

chandi ka pikdan so

mein se assi baiman phir

bhi mera desh mahan


topi lagaye machhar kahta hai

desh ke logo mein

samta ki bhawana aa rahi hai

isiliye to badi machhali

chhoti ko kha rahi hai

hamare chune huye kute,

hume hi kate hai

humare hisse ki rotiya

apas mein batate hai

human us gand se bhari unki

aawaj se nange raste kapte hai

kal peda huye bache,

ek saans lete huye hapte hai

saitano ki najayaj aolad

tahalkha macha rahi hai

aur hum hum bhagwan ke

chahite janwar insan

zindagi ko gali banaye

bethe hai kya kare, sala

sala ek machhar aadami ko

hizda bana deta hai


giro salo giro giro giro lekin giro to

us jharne ki tarha jo parwat ki uchai se

gir ke bhi  apni sundarta khone nahi deta

zamin ke tah se milke bhi

apne astitav ko nasht nahi deta

lekin itana sochane ke liye

waqt hai kiske pas, kyoki

sala ek machhar aadami ko

hizda bana deta hai


mandir, masjid ki ladayi mein

mar gaye lakho insan

dharam aur mjhab ke naam par

ho gaye hajaro kurban

jis ne anyay ke

virodh mein bali ko mara,

rawan ko mot ke ghat utara

punya ko paap se ubhara,

mujhe us ram ki talash hai magar

lagta hai is yug ke

ram ko aajivan vanvas hai, kya kare

kyoki, sala ek machhar

aadami ko hizda bana deta hai


ye machhar, ye machhar,

jiska kichado me ghar hai

naliyo me basera hai,

iski pehchan

ye hai ke ye na tera hai na mera hai

ye machhar hizda bana dega,

hizda bana dega

kabhi saitan aayenge,

mere darwaje par dastak denge

jahan ki talashi lege,

phir jal uthenge,

us waqt main daruga nahi

apne sharir ko dhal,

hath ko talwar banaunga,

ek na ek din to

tum mera hath chumoge, karo,

aaj mujhe badnaam karo nilam karo

nilami ke liye kya hai mere pas,

bas jalte huye aansuo ka aeshas

magar, magar main tumse badala luga,

tumhari aakhiri boli par

mere do saanso ke bich ka thaherav

tumhe fokat me duga,

kyoki salo ek machhar

ne tumhe hizda bana diya hai.

You May Also Like (Similar)

Advertisement
Note: From this website you will get free lyrics facility. The files are not hosted by us.
Rules: videos/lyrics will be for personal use only / you cannot redistribute them / delete them from hard disk after 24 hours (if you do not agree, close this window)