Singer | Kavita Krishnamurthy & Udit Narayan |
Genre | Dance |
Language | Hindi |
Album | Pathreela Raasta |
choli aur ghaghra rang daalo na
haan choli aur ghaghra rang daalo na
mere ang ang piya rang daalo naa
holi ka din hain sab maaf hain
holi ka din hain sab maaf hain
mauka hain milla maja lona lona
choli aur ghaghra rang daalo na
hey khaali mera pyaala
thoda bhang daalo na
khaali mera pyaala
thodi bhang daalo na
khoon mein jawaani ki umang dalo na
holi ka din hain sab maaf hain
holi ka din hain sab maaf hain
mauka hain milla maja lona lona
khaali mera pyaala thodi bhang daalo na
rang hothon ka mera chura ke
dekh mat yun mujhe mushkurake
aaj ke din saram nahi karna
raani logo se kaahein ko darna
aisa hain to mujhko apni baahon mein utha
bahon mein utha ke raja godi mein bitha
kyun ki holi ka din hain sab maaf hain
holi ka din hain sab maaf hain
mauka hain milla maja lona lona
hey khaali mera pyaala thodi bhang daalo na
laal peela hara aur neela
sab ka chehara hain rang rangeela
dekhana mere dhoke mein sajan
dusari ko na baahon mein bharna
aaj ka din aisi galti karwane aata hain
koi khud aaye to apna kyaa jaata hain
kyun ki holi ka din hain sab maaf hain
holi ka din hain sab maaf hain
mauka hain milla maja lona lona
choli aur ghaghra rang daalo na
tujhse kehana hain paas aa jaa
haa main samjhati hoon ye chaal raja
mil rahein hain gale aaj saarein
do badan ek jaan hain hum pyaare
hum kyaa hain aaj dekh le sab duniya wale
kal kis kis ke munh par jaakar marenge taale
are holi ka din hain sab maaf hain
holi ka din hain sab maaf hain
mauka hain milla maja lona lona
mauka hain milla maja lona lona
choli aur ghaghra rang daalo na.