Language | Hindi |
Saari saari raat daraye ho jaise hai daayan
Saansein na lene de hai aise rasayan
Hun baahar se ghayal par andar se kaayal
Lagti mahobbat par hai sab yeh science
Kuch spanya si cheez hai samjhta tha pyaar ko
Phir jaana body bas chhodti harmons
You’re not in love tum chhote bimaar ho
Kuch kaam nahi aata hai disprin ya saridon
Us’se pyaar karta hun ya uske saath ko
Ego hai mera wo kaise praapt ho
Suljha raha hun main uljhi is gaanth ko
Dil aur dimaag ke aapas ke war ko
Yeh kaise chemical chhode dimaag bhi
Itni laachari hai aisa na thha kabhi
Jis’se main ladta hun uska main bhag bhi
Kamjor pad raha hun andar or taaqat nahi
Bas pyaar karne ki maine himakat ki
Aisa kyun ho gaya meri thi kya galti
Na karna galti se aisa mazaak bhi
Chemical’on ne kiya zakhmi
Hai bas yeh sara chemicals
Main tha bas kabse bekhabar
Tu sar var mein ghar var mein
Har pal bas badd badd mein
Darr darr kaanpun tharr tharr
Dil thhad thhad jiyun marr marr ke
Karvat lun har kshan mein
Parvat thha ab kann mein
Sar garam hai mann sard hai
Andar bhar bhar dard hai
Khandar jaise manzar
Jaise khanzar kare puncher
Hun main banjar karun sangharsh
Sune hamdard yun na tang kar
Dheele anjar saare panjar
Teri sangat meri sampad
Par sampark mein nahi hum but
Just one word can comfort
So aane de ya mujhe jaane de tu
Mujhe jeene ke jhoothe bahane de
Unn saari yaadon ki arthi ko kaandhe de tu
Mujhe thaam le bhale taane de
Wo sab anjani si yaadein lautane de
Kho gaya thha main kabse khudko paane de
Gaane de gaane de gaane de bas mujhko gaane de
Gaane de gaane de gaane de
Bimaariyon ke daag yeh jaate nahi
Sau dard hai phir bhi sau raahtein nahi
Hai bas yeh sara chemicals
Main tha bas kabse bekhabar
Saari saari raat daraye ho jaise hai daayan
Saansein na lene de hai aise rasayan
Hun baahar se ghayal par andar se kaayal
Lagti mahobbat par hai sab yeh science