Singer | Bhuvan Bam |
Language | Hindi |
bheed mein saath mein chalte the
aur abhi kho gaye
itne the paas hum
aur ab ajnabee ho gaye
haan aan..
bheed mein saath mein chalte the
aur abhi kho gaye
itne the paas hum
aur ab ajnabee ho gaye
hai pata mujhe ki teri kami
chhod jayegi kuch aisi nami
tu jaane bina mere dil ka haal
tukde tukde kar chal padi
alag sa hai ye intzaar
ek aas hai man mein dabi huyi
yeh soch mein main duba rahun
kya bante hai toot-te hain rishte sabhi
yaad aaye to mil hi jaunga tujhko yahin
na bhi aaye toh samajh jaunga
thi mujhmein hi kuch kami
baat jo kehni thi tumse wo kahe bina
so gaye, so gaye
itne the paas hum
aur ab ajnabi ho gaye
dil se hoke aankho se barse
wo ye shaamein, shaam hai
khaali the jo haan
tune pakde wo jaam hai
chubhte sannate hi to
kai baatein batate hain
humdardi wale hi aksar
dard de jaate hain
yaad aaye to mil hi jaunga tujhko yahin
na bhi aaye to samajh jaunga
thi mujhmein hi kuch kami