Singer | Altaaf Raja |
Language | Hindi |
aapka dil toota
aur hum chale aaye
imaan se!
dil agar todna tha humara
aake bas ek dafa bol jaate
kar bhi dete zara sa ishara
apne hathon se hum tod jaate
bewafai koyi tujhse sikhe
tum nahi bann sakoge kisi ke
ab wafayein meri ro rahi hain
jo nibhani thi humko tumhi se
denge dua fir bhi yahi
tujhsa na tujhko mile
ae sanamm pyaar, ae sanamm pyaar
ae sanam pyaar mein muskuraake
hum tera hath khud chor jaate
dil agar todna tha humara
aake bas ek dafa bol jaate
tujhme ab wo baat nahi
jo hua karti thi
tujhme ab wo baat nahi
jo hua karti thi
meri khaamiyan bhi jab
tere dil ko chuaa karti thi
jab se hua hai hadson ka
karam mujh par
jab se hua hai hadson ka
karam mujh par
wo din gaye jab tu
mere liye dua karti thi
humne poshak bhi badli hogi nahi
tune jitne mohabbat mein badle hain dil
teri raatein kisi aur ki baahon mein
aur kisi ke sirhane pe dhalte hain din
dhalte hain din, dhalte hain din
teri fitrat mein, teri fitrat mein
teri fitrat mein jab dil lagi thi
shaam na sath mere bitaate
dil agar todna tha humara
aake bas ek dafa bol jaate
dheere dheere aalam
jab ye gehra hoga
dheere dheere aalam
jab ye gehra hoga
tujhe main yaad aaunga
jab andhera hoga
nahi hai mera naam
teri mehndi mein shareek toh kya
nahi hai mera naam
teri mehndi mein shareek toh kya
kal mere bhi sar par
kisi aur ka sehra hoga