aakhri baar lyrics – palash muchhal | parry g

aakhri baar lyrics – palash muchhal | parry g lyrics

Poster aakhri baar lyrics – palash muchhal | parry g

aakhri baar lyrics – palash muchhal | parry g

Details
Singer Palash Muchhal, Parry G
Language Hindi
Poster aakhri baar lyrics – palash muchhal | parry g
play
Lyrics

main aur tu kaafi the na thi koi zarurat
dil bhi tera tere chehre jitna khubsurat
yahi soch ke main tujhme poora kho gaya
kya socha tha, kya se kya ho gaya

main tujhko puchhun kya tha yeh
tu kehti sab mazaak tha
bandh gaya tha tujhse
ab band ho gaya raasta
hai tujhko mera vaasta
jawab de sawal ka
tere pyar ke jaal ka
mere bure haal ka
main abhi bhi yaad karke rota
kitna kiya tha samjhauta
jitna bada samjha humko
utna ho gaya main chhota
tujhe na kadar, tujhe na asar
chhodi na tune koyi bhi kasar
jaana chahata tujhse door
fir bhi teri saari khabar
par abhi na padta farak
dil ki baat kehni thi
ek aakhri baar teri bewafai sehni thi
tere gulami se ho gaya hoon ab azaad
dhayan se sunn le ye baat ki

aakhri baar kiya pyar tujhe
aakhari baar
aakhari baar kiya yaad tujhe
aakhari baar

wo saare lamhe ab aate mere saamne
jab base the ek duje ke dil aur jaan mein
jab basi thi saasein teri muskaan mein
tabhi ye faansle mere roz praan le
main abhi bhi wahi hu
tujhe yahi dhoond raha
tu hi mujhe dikh rahi
tera naam goonj raha
barsaati thi mujh pe pyaar ki baarish
ab dhundne par bhi na milti hain boonde yahan

haan,
kyun kiya aisa chhod diya tadapne ko
kyun di yaadein jab deni thi rakhne ko
rasta bhatakne ko dil ka dard chakhne ko
pehle hath pakda phir keh diya hatne ko
itna aasaan tha to mujhko bhi sikha jaati
keh du teri khushbu mein din raat teri yaad aati
lag raha hai khud se kar raha hu baate
kahne na bachi koi baat baaki

aakhri baar
socha hum dono ke baare mein
aakhari baar
mere saare jazbaat haare the
aakhri baar
jo sehna tha seh liya
aakhari baar
jo kehna tha keh diya

aakhri baar kiya pyaar tujhe
aakhari baar
aakhri baar kiya yaad tujhe
aakhari baar

aakhari baar kiya pyaar tujhe
aakhari baar
aakhri baar kiya yaad tujhe
aakhari baar

You May Also Like (Similar)

Advertisement
Note: From this website you will get free lyrics facility. The files are not hosted by us.
Rules: videos/lyrics will be for personal use only / you cannot redistribute them / delete them from hard disk after 24 hours (if you do not agree, close this window)